Monday, March 03, 2008

Zindagi say dartay ho? (Noon Meem Rashid)

Zindagi say dartay ho?
Zindagi to tum bhi ho, zindagi to hum bhi hain
Zindagi say dartay ho...
Aadmi say dartay ho?
Aadmi to tum bhi ho, aadmi to hum bhi hain
Aadmi zubaan bhi hay, aadmi bayaan bhi hay, us say tum nahi dartay...
Harf aur manay kay rishta-e-ahan say aadmi hay wabasta
Aadmi kay daman say zindagi hay wabasta, us say tum nahi dartay...
Ankahi say dartay ho?
Jo abhi nahi aayi us ghari say dartay ho, us ghari ki amad ki agahi say dartay ho?
Pahlay bhi to guzray hain dor na rasayi kay, bairiya khudayii kay
Phir bhi ye samajhtay ho haich arzumandi ya shab-e-zuban bandi hay rahay khuda wandi
Tum magar ye kya jano...
Lab agar nahi hiltay, hath jaag uthtay hain
Hath jaag uthtay hain rah ka nishan bankar
Noor ki zuban bankar
Hath bol uthtay hain subh ki aazan bankar
Roshni say dartay ho?
Roshni to tum bhi ho, roshni to hum bhi hain
Roshni say dartay ho...
Shahar ki faseelon par daiw ka jo saaya tha, paak hogaya akhir
Raat ka libada bhi chaak hogaya akhir
Khaak hogaya akhir...
Ashdahan main insaan say fard ki nawa ayii
Raat ki sadaa ayii
Rah-e-shauq main jesay rah ro ka khoon lapkay
Aadmi chalak uthay
Aadmi hansay dekho, shahar phir basay dekho
Tum abhi say dartay ho?
Haan abhi to tum bhi ho, haan abhi to hum bhi hain
Tum abhi say dartay ho...

No comments: